khwaish
Aaj zindagi ke kch panne palatne
ki khwaish h….
Kuch pal phir se jeene ki khwaish
hain ….
Toote chahe ye dil phir se ..
Par aaj phir un lamho ko phir se
jeene ki khwaish hain …
Zindagi ki tasveer mein naaye
rang hain ab ….
Pr phir bhi purane rango ki thodi
khwaish hain …
Naaye raangon se khubsurat ho
tasvir chahe jitni ..
Par phir bhi , purane raango se
bani …..tasveer ek baar dekhne ki khwaish hain ….
Poora kissa bhula kar , aage
badhane ki chahat hain …
Pr phir bhi dil k kisi kone mein
use sanjoy rkhne ki hasrat hain ….
Dhokha hoga ye khud se aur shayd
‘kisi aur se bhi’
Par phir bhi , “use”kbhi kbhi
yaad krne ki khwaish hain ….
Jis deewangi se use chaha tha …
Uss deewangi ko bhulane ki zarurt
hain …
Dekh kar use chahe kitni b ho
takleef…… phr bhi ….
Vo mudh kar phr se zarur aaye dobara
Aisi meri khwaish hain …. Aisi
meri khwaish hain
Comments
Post a Comment